- Buzrugane deen ki zindagi ko saamne rakh kar hi behtaren zindagi guzari jaasakti hai.(Hazrath Shamsuddin rahmatullah alaih)
- Ek dusre ke kaam aana sab se badi neki hai.(Hazrath Khawaja Abdul wahed bin zaid rahmatullah alaih)
- Apne nuqsan par hargis gham na karo kyun ke ALLAH TA’LA aapse us waqt tak kuch wapas nahi leta jab tak usse behtar aapko ataa na kare…
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo shakhs achi tarah wuzu kare to uske jism se, yaha tak ke nakhono ke niche se bhi gunah nikal jate hain.
(Sahih Muslim,Hadith No:486)
- koi musalman kisi muslaman ko kamtar na jane kyun ke Musalman ALLAH ke nazdeek badi shaan wala hai.(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)
- Neik logon ki suhbat ikhtiyaar karo kyun ke suhbat me bada asar hota hai…
- Agar bande ko ye maloom hojaye ke sajde me ALLAH TA’LA ka kitna qurb hasil hota hai to banda kabhi sajde se sar hi na uthaye…