Jo shakhs ALLAH TAALA ke zyada qareeb hoga

Jo shakhs ALLAH TAALA ke zyada qareeb hoga
  • ALLAH TAALA ka irshaad hai:
    Tum Mujhe Yaad kiya karo Main tumhe yaad rakhonga aur Mera Shukar adaa kiya karo, aur Meri Na shukhri Na kiya karo!(Surah Al Baqarah:152)
  • Jiski Umeed ALLAH TAALA se ho wo kabhi nakaam nahi hota, Nakaam wo hota hai jiski Umeden duniya se lagi ho.
  • Jo shakhs ALLAH TAALA ke zyada qareeb hoga use utna hi duniya me Musibaten zyada pesh aayengi.(Hazrath Imaam Ghazali rahmatullah alaih)
  • Duniya ko dil se nikaal do phir wo tumhe nuqsaan nahi puhanchayegi.
    (Hazrath Ghouse Azam raziallahu taala anhu)
  • Khushbakht hai wo shakhs jise jab koi nemat ataa hoti hai to wo us par shukar adaa karta hai,
    aur Jab use musibat puhanchti hai to wo sabar karta hai,
    aur jab us se koi gunah hojaye to fouran touba karleta hai,
    aur jab use gussa aata hai to samajhdari se kaam leta hai.
  • Bure Logou ki suhbat Neik logou se bad guman kardeti hai. (Hazrath Hasan Basri rahmatullah alailh)
  • Qiyaamat ke din sab se pehle bande se namaaz ka hisaab liya jaaega,
    Agar uski namaaz durust hai to wo kamiyab aur kamran hua,
    lekin agar namaaz durust na hui to wo nakaam aur namuraad thahra.
    (Jame’ Tirmidhi, Hadith No. 413)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *