- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jisne apne waliden ko bura kaha(gali di) uske sar par jahannum me is qadar aagh ke angare barsinge, jis qadar aasman se zameen par barish ke qatre baraste hain.
(Sahih Muslim, hadith no:6602)
- Jo shakhs ye chahta hai ke ALLAH TAALA uske saath khair ka mamla farmaye to wo logon se acha guman rakhe.
(Hazrath Imaam Shafai rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs 12 saal tak Azaan de uske liye jannat wajib hojati hai,
aur uske liye har roz har azaan par 60 nekiyan aur har Iqamat par 30 nekiyan likhi jati hai.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:728)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs ba wuzu hokar apne bistar par lete aur neend aane tak zikr e Ilahi me mashgool rahe wo raat ki jis ghadi me ALLAH TAALA se Duniya wo Aakhirat ki bhalayi maange to ALLAH TAALA use ataa farmayega.
(Sunan e Abu Dawood,Hadith no:5042)