- Jo shakhs bhi juma ke din ya juma ki raat me inteqaal kare, ALLAH TAALA use Azaab e Qabar se Mahfooz rakhenge.
(Jame Tirmizi,Hadith no:1074)
- Har cheez ke sawaab ka andaza hai magar sabar ke sawaab ka andaza nahi.
(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)
- Jis cheez ko Allah aur uske Rasool ﷺ pasand karte hain use pasand karo,
Aur, Jise Allah aur uske Rasool ﷺ napasand karte ho us se dur raho…
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Main ne Jibreel Ameen se daryaft kiya kaounsa amal ALLAH TAALA ke nazdeek pasandida hai,
Hazrath Jibreel Ameen Alaihissalaam ne arz kiya:
Aye Paikar e Hamd o Sana! Aap par Durood padhna aur Ali bin Abu Talib ki Mohabbat.
(Musnad ul Firdoos)