- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA ke kuch farishte aise hain jo sirf Majalis e Zikar ki talash me rehte hain.
(Sahih Muslim,hadith no:2689)
- Jo shakhs Ikhlaas ke saath ALLAH TAALA se shahadat ki mout mangta hai to ALLAH TAALA use shahadat ke darje ko phuncha deta hai, chahe wo apne bistar pe hi inteqaal kiya ho.
(Al Mustadrak,Hadith no:2412)
- ALLAH TAALA un tamaam (Sahaba Ekraam) se Razi hogaya aur wo ALLAH TAALA se Razi hogaye,
Aur ALLAH TAALA ne unke liye ( Bahist ke ) aise baagh tayyar kiye hain, Jinke niche nehren beh rahi hain, wo unme hamesha rahenge, ye bahut badi kamiyabi hai.
(Surah At Touba :100)
- 4 qisam ke log aise hain jinhe ALLAH TAALA na jannat me dakhil karega aur na hi uski nematen chakayega.
1) Sharaab ka aadi
2) So’od khane wala
3) bagair haq ke yateem ka maal khane wala
4) waliden ka nafarman.(Al Mustadrak,Hadith no:7230)