Jo shakhs maut ko yaad rakhta hai wo thodi si duniya par bhi khush hojata hai

  • NABI E KAREEM صلى الله عليه و سلم  ne irshaad farmaya :

Aasmaan ke ek farishte ne isse pehle meri ziyarat kabhi nahi ki thi , usne meri ziyarat ke liye ALLAH TAALA se ijazat talab ki aur Mujhe Khushkhabri sunayi ke HASAN AUR HUSAIN (raziallahu taala
anhuma ) Tamaam Jannati jawano ke Sardaar hain.

(Sunan e Nasai , hadith no:8515)

 

  • Jo shakhs maut ko yaad rakhta hai wo thodi si duniya par bhi khush hojata hai.

    (Hazrath Ali Raziallahu taala anhu)

  • Tum me se har ek jab tak namaz ka intezaar karta hai wo namaz hi me hota hai.

    (Sahih Bukhari,hadith no:620)

  • NABI E KAREEM صلى الله عليه و سلم  ne irshaad farmaya:

    Jo shakhs mujh par kisi kitaab me Durood bhaijhta hai to farishte uske liye us waat tak baqsish ki dua karte rehte hain jab tak mera naam us kitaab me moujood rehta hai.

    (Al Moujamul Aousat,Hadith no:1835)

  • Sab se behtar dil wo hai jo Burayi aur shar se khali ho.

    (Hazrath Abul Hasan Kharkhani Rahmatullah Alaih)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *