- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs Meri is Masjid me is garz se aaye ke Neki karega, Neki sikhega ya sikhayega, to uska martaba itna baland hoga jitna ke Raah e Khuda me jihaad karne wale ka martaba hota hai.
(Sunan e Ibne Majah)
- Neik kaam karne se insaan ke dil ko 2 martaba Rahat milti hai.
1) Jab wo neik kaam kiya jata hai
2) Jab uska Ajar milta hai. - HUZOOR NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Main qayamat ke din bhi saari Aoulad e AAdam ka SARDAAR Rahonga ,aur main is par faqr nahi karta , aur mere Haath me HAMD ka jhanda hoga aur main is par faqr nahi karta..
(Jame Tirmizi,Hadith No:3975)
- Beshak RASOOLALLAH (Sallallahu alaihi wasallam) ki mubarak zindagi me tumhare liye behtareen namona hai.
(Surah Al Ahzaab:21)