- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Apne in jismon ko paak rakha karo, ALLAH TAALA tumhe paak rakhega,
Jo shakhs Raat ko paak o saaf (ba Wuzu hokar) sota hai uske saath ek Farishta raat guzaarta hai,Raat ko jab bhi wo shakhs karwat leta hai, Farishta uske liye dua karta hai:
Aye ALLAH! Apne is bande ko baqshde, ye raat ko paak o saaf (ba wuzu) soya tha.
(Al Moujamul kabeer,Hadith no:1362) - Kabhi tum dusron ke liye Dil se Dua Mang kar dekho, tumhe apne liye Mangne ki zarorat nahi padegi.(Hazrath Syeduna Ali raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Azaan aur Iqamat ke darmiyan jo dua bhi maangi jaye wo rad nahi hoti.(Sunan e Abu Dawood,Hadith no:521)