Hazrath Ka’ab raziallahu taala anhu ne farmaya:
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Member ke paas jama hojao to hum member shareef ke paas hazir hogaye,
Jab HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam Member ki ek Sidhi par Qadam e Mubarak rakhe to Ameen farmaya,
Jab Dusri sidhi par Qadam e Mubarak rakhe to Ameen farmaya,
Aur Jab Tesri sidhi par Qadam e Mubarak rakhe to Ameen farmaya,
Jab HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Member shareef se Niche Tashreef laaye to hum ne Arz kiya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Hum ne Aaj Member par Aapko Tashreef lejate waqt aise kalimaat sune ke is se pehle is tarah na sune the,
HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Jibreel Amen Mere paas Hazir hue aur kaha :
Jo shakhs RAMAZAN ko paaye aur uski Maghfirat na ho wo RAHMAT E ILAAHI se dur ho,
Main ne kaha Ameen,
Jab Main Dusri sidhi par Qadam rakha to Jibreel Amen ne kaha :
Jis shakhs ke saamne aapka naam e mubarak zikar kiya jaye aur wo Aap par DUROOD na padhe wo RAHMAT E ILAAHI se dur ho,
Main ne kaha Ameen,
Jab Main Tesri sidhi par Qadam rakha to Jibreel Amen ne kaha:
Jis shakhs ke waliden ya unme se ek budhape ko puhanch jaye aur wo unki qidmat kar ke Jannat ka Haqdaar na ban sake wo RAHMAT E ILAAHI se dur ho,
Main ne kaha Ameen !
(Mustadrak Alas Sahihen ,Hadith no:7365)