Jo shakhs (Roze me ) jhoot baat (aur behoda amal ) ko nahi chodhta

Fasting
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :

Jo shakhs (Roze me ) jhoot baat (aur behoda amal ) ko nahi chodhta to ALLAH TAALA ko koi parwah nahi ke wo khana pina chodhde.

(Sahih Bukhari , hadith no:1903)

Fasting In Way Of ALLAH

  • HAZRATH UMAR BIN KHATTAAB Raziallahu taala anhu ke zamane me RAMZAN me 20 Rakaat Taraweeh padhte , aur 100 ,100 ayatou wali surten ( jaise Baraat , nahal , hood , wagaira ) Tilawat karte ,

    Aur HAZRATH USMAN E GHANI Raziallahu taala anhu ke dour me Taweel qiyaam ki wajeh se apni lathiyou ka sahara lete the.

    (Baihaqi ,hadith No:4617)

  • Aur jo log ALLAH TAALA aur uske RASOOL ki ita’at karte hain aur ALLAH se darte hain aur dil ko gunahon se dur rakhte hain wahi kamiyaab hain.

    (Surah Al Noor:52)

  • JIski parehezgari kam hojati hai uska dil murda hojata hai.

    (Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *