- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Achi Niyyat Insaan ko Jannat me dakhil karegi.
(Al Jame As Sagir,Hadith no:9326)
- ALLAH TAALA KA IRSHAAD HAI:Beshak hum ne Aapko (khair wo Fazilat me ) Be Inteha kasrat Baqshi hai.
(Surah Al Kousar:1)
- Jo shakhs Waqt par Namaz padhe aur uske liye achi tarah wuzu kare ,Namaz me Qiyaam aur Ruku wo Sujood Khusu wo khuzu ke saath achi tarah kare to wo NAMAZ ROUSHAN AUR CHAMAKDAAR bankar ye kehte hue Buland hogi :
ALLAH TA’LA TERI HIFAZAT KARE ! JAISA KE TO NE MERI HIFAZAT KI….(Al Moujamul Aousat ,Hadith no:3213) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo haq par hone ke bawajood ladai nahi karta, main uske liye Aala jannat me ghar ka zaamin ho.
(Sunan e Abu Dawood)
- Namaz zameen me ALLAH TAALA ki taraf se Aman wo Salamati ka sabab hai.
(Hazrath Abu Bakr Siddiq Raziallahu taala anhu)
- To Halakat hai un logon ke liye jo apni namaz se gaflat karne wale hain.(Surah Al Ma’oon:4/5)