- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Meethi cheez aur Shahed pasand farmate..(Sahih Bukhari,hadith no;401)
- Jo shaks Allah Taala se milna mahboob rakhe ,Allah Taala use apni rahmat me rakhna pasand farmata hai.(Sahih Bukhari,Hadees No:6507)
- Jo insaan Dusroun ko Shak ki nigah se dekhta hai,
Haqiqat me wo apne Kirdaar ki Burai’an Dusroun me Talash karta hai. - HUZOOR Sallallahau alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tumhara bhalayi ka kaam karna tumhare hi haq me behtar hai.
(sunan e abu dawood,Hadees No:1617)
- Jab insaan ki ankhon se nadamat ke aanso behte hain ,to uspar Rab ki Rahmat barasti hai.
- Sab se bade martabe wala wo shakhs hai jo zyada tar qusoor maaf kiya karta hai.(Hazrath Qatada Raziallahu Taala Anhu)
- Jab bhi kisi ko dua den to achi aur dil se de kyun ke wo dua pehle aapke haq me qubool hoti hai.