- (Aye Mahboob sallallahu alaihi wasallam)! Beshak hum ne Aapko Haq ke saath Khushkhabri sunane wala aur dar sunane wala banakar bhaijha hai.
(Surah Baqarah:119)
- 4 chezen Rizq me Izafa karti hain:
1) Tahajjud ki namaz
2) kasrat se Istighfaar
3) kasrat se Sadqa karna
4) Kasrat se Zikar karna(Hazrath Imaam Shafai Rahmatullahi Taala Alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
HAR BHALAYI (ACHA KAAM) SADQA HAI.
(Al Adab Al Mufrad,hadith no:234)
- Sabar karne wale hamesha kamiyaab hote hain isliye tumhe chahye ke sabar karen.
(Hazrath khawaja Usman haroni rahmatullah alaih)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ke Asmaaye mubaraka me se ek isme mubarak HAASHIR bhi hai jiske mutaliq Aap irshaad farmate hain:
LOGOU KO MERE QADMOU ME JAMA KIYA JAYEGA.
(Sahih Bukhari,vol:2,pg:227)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Meri Ummat se 70 hazaar bagair hisaab o kitaab JANNAT me dakhil honge.
(Sahih Muslim,Hadith No:542)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Juma ki Raat Noorani Raat hai aur Juma ka din Roushan Din hai.
(Baihaqi,vol:3,pg:375)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya:
Jab jumerat ka din aata hai ALLAH TAALA farishtou ko bhaijhta hai jin ke paas chandi ke kagaz aur sone ke qalam hote hain wo likhte hai:
kaoun jumerat ke din aur jume ki raat Mujh par Kasrat se DUROOD E PAAK padhta hai.
(Kanzul Ummal,Hadith No:2174)
- Rizq ke peeche apna imaan kharab na karo, Rizq insaan ko aise talash karta hai jaise marne wale ko mout.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- The Holy prophet ( ﷺ) said:
“I swear by the Lord who controls my life that a person is not a true believer unless he likes for his brother what he likes for himself.”
(Sahih Bukhar,vol:1,pg:6)
- When good advice does not affect a change in ones ways then know this that, ones heart is empty from Iman (Faith)
(Hazrat Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)