Jumma ke din ki fazilat

Hadeeso me Jumme ki badi Fazilat bayan ki gayi hai..

* JUMA ko ASR ki namaz ke baad jo shaks ye
DUROOD 80 padhega ” ALLAHUMMA SALLI ALAA
MUHAMMADIN NABIYIL UMMIYEE WA ALAA
AALIHI WASALLIM TASLEEMA ” to uske 80 saal
ke Gunah maaf honge aur 80 saal ki Ibadat uske
aamaal-naame me likhi jaegi.

Jumma ke din ki fazilat
Jumma ke din ki fazilat

* Jisne Jumme ki Namaz (2 Rakat jumma) se Pehle ,,
4 Sunnat Namaz or Jumma k baad ,,
4 Sunnat ,, 2 Sunnat ,, 2 Nafil padi …
Allah uss par Jahannam ki Aag Haram kar
dega .. !!

* Juma ko Kasrat se Durood padhe. Kyunki
Juma ko farishto ki ek jamaat sirf isi kaam me
hoti hai ki Huzur saw per padha jane wala
DUROOD aap ke paas pahuchati hai. Sabse afzal
DURROD IBRAHIM hai.

* Juma ko gusal zaroor kare. Huzoor S.A.W ne farmaya”Jis shakhs ne JUMA ko (paak hone ke bawjood sirf sawaab ki niyat se) gusal kiya to uske agle pichle sab gunah maaf ho jate hain”
Ek dusri hadees me hain ki “Juma ka Gusal baalo ki jadon me se bhi Gunaho ko bhi nikal phekta hai”

* Zakat dekr Apne Malo ki Hifazt karo
Sadqe se Apne Bimaro ka Ilaj kiya karo
(Abu Dawood)

* Jo Shakhs Susti Ki Wajah se 3 JUM’A Chhod Dega
ALLAH Ta’ala Us Ke DIL Par Mohar Laga Dega
(Abu Dawood Jild:1 Safa:393 Hadees:1052)

* Jo JUMA Ke Din Ya Raat Me
SURAH-DUKH’KHAN Padhega
ALLAH Azzwajal JANNAT Me Uske Liye Ek Ghar Banayega.
(Almojamul Kabeer)

Comments

comments

2 thoughts on “Jumma ke din ki fazilat

  1. Ye Jo Apne jumey key din ki Sunnah likhi hai ismey 4 point perfume wala jo hai usmey galti hai kuki Apne likha h Better if alcohol free but agr iska mtlb accha hoga ki alcohol free ho Magar din-e-islam main alcohol mana hai to Apne ye 4 point main kaise likha diya?? plz delete it fast

    1. Assalaam alaikum,
      JazakAllah for bringing this to our attention.
      Removed, thanks once again. Shukran JazakAllah.

      Team
      Ahlesunnatuljamaat.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *