Jumme ke din ki fazilat

Jumme ke din ki fazilat

Juma ka hukum : juma ki namaz har baaligh musalman par farz hai. Allah taala quran me irshaad farma raha hai ke.

Aye iman walo! jab juma ke roz namaaz keliye pukar hoto tum Allah k zikr ki taraf lapko aur apna karobaar (business) chordo.(surah juma-09) Hazrat Hafsa RaziAllahu Anha se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya ” juma ki taraf jaana har baaligh musalman par farz hai.”

*Juma k din nahane, miswaak karne, khushboo lagane aur umda libaas pahanne ki fazeelat :

Hazrat abu sayeed raziAllahu anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya” har musalman ko chahiye k juma k din nahaye, apne umda kapre pahne aur agar iske paas khushboo hoto usse lagaye.

Jumme ke din ki fazilat
Jumme ke din ki fazilat

*Juma ke din qutba shuru hone se pahle nafil parhne ki fazeelat :

Hazrat Abu Huraira RaziAllahu Anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya “jis shaqs ne juma ke din ghusl kiya fir juma ki namaz keliye aaya aur jitni nafil namaz isse hosaki isne parhi fir imam k qutba se faarigh hone tak khamooshi aur dhiyaan se qutba sunta raha aur fir iske peeche namaz parhi to iske is juma se agle juma ke darmiyan ke gunah aur teen din mazeed ke gunah muaaf kardiye gaye.”(sahih muslim)

*Qutbe ke Dauran : hazrat abu huraira raziAllahu anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya”jis waqt imam qutba deraha ho is waqt tumne apne saathi se ye kaha k khamoosh hojao to tumne fazool baat ki.(sahih bukhari wa muslim-abu dawood-nisaayi-tirmizi)

Related Link :
Jumma Ki namaz ki Ahmiyat

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *