- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se daryafat kiya gaya:
Kaunsa Haj Afzal hai?
Aap ne irshaad farmaya:
Jisme baland Awaaz se Talbee kaha jaye aur qurbani ki jaye.(Jame Tirmizi,Hadith no:827)
- HUZOOR Sallallahu Alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Haj e Mabroor ka badla sirf Jannat hai.
(Sahih Bukhari)
- Jis shakhs ne namaz qayem ki, zakaat adaa ki, Baitullah ka haj kiya, ramzan ke roze rakhe, aur mehmaan nawazi ki wo jannat me dakhil hoga…
(Shubul Imaan,Hadith No:9593)
- ALLAH TA’LA ke hukum ke mutabiq Amal karna Taqwa hai.
(Hazrath Ibne Haneef rahmatullah alaih)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne Hajar e Aswad ke baare me farmaya:
ALLAH TA’LA KI QASAM! Qayamat ke din ALLAH TA’LA use 2 Aankhen ataa farmayega jinse ye dekhega aur Ek Zaban Ataa farmayega jis se ye bolega aur har us shakhs ke baare me gawahi dega jisne Halat e Imaan me Usko Bosa diya.
(Jame Tirmizi, Hadith no:971)
- Rukn e Yamani aur Maqaam e Ibrahim Jannat ke Yaqut’on me se 2 yaqut hain,
ALLAH TA’LA ne unke Noor ki Roushni bujhadi agar ALLAH TA’LA unhe na bujhata to unki roushni Mashriq se Maghrib tak saara mahool Roushan kardeti.
(Jame Tirmizi,Hadith no:878)