Khamoshi Gusse Ka Behtareen Ilaj Hai

Speak good or be silent hadith

Aqlmand Wo Hai Jo Doosron Ki Naseehaten Sunta Hai…

  • Daawat Qabool Karne Me Ameer-O-Gareeb Ka Farq Naa Karo Aur Door Hone Ki Wajeh Se Daawat Radd Na Karo.
    – Hazrat e Imaam Gazali (Rehmatullah Alaih)
  • Apni Zarooraten Kum Karoge To Rahat Hasil Hogi.
    – Hazrat e Imam Shafai (Radi Allahu Anhu)
  • Aqlmand Wo Hai Jo Doosron Ki Naseehaten Sunta Hai.
    – Hazrat e Suleman (Alaihis Salam)
  • Agar Tum Logon Ke Kasoor Muaf Karoge Tou Allah Ta’ala Tumhare Kasoor Muaf Karega.
    – Hazrat e Idrees (Alaihis Salam)
  • Khamoshi Gusse Ka Behtareen Ilaj Hai.
    – Hazrate Usman-e-Ghani (Radi Allahu Anhu)
  • Kisi Per Ehsan Karo To Uss Ko Chupao Agar Tum Per Koi Ehsan Kare To Usey Jahir Karo.–
    – Hazrate Ali (Radi Allahu Anhu)
  • Neki Karne Me Der Na Karo Aur Badla Lene Me Jaldi Na Karo.
    – Hazrat Shafeeq Balgi (Rehmatullah Alaih)
  • Aqalmand Bolne Se Pehle Sonchta Hai Aur Bewaqoof Bolne Ke Baad Sonchta Hai.
    – Hazrat e Hasan Basri (Radi Allahu Anhu)
  • Accha Dost Wo Hai Jo Musibat Ke Waqt Kaam Aaye.
    – Hazrat e Shaikh Sa’di (Rehmatullah Alaih)
  • Quraan-e-Kareem Ka Sirf Mutala Hi Na Karo BalKe Uss Ko Samajhne Ki Koshis Bhi Karo.
    – (Allama Iqbal).
  • Gusse Ki Halat Me Koi Faisla Na Karna Aur Khushi Ki Halat Me Koi Waada Na Karna.
    – Hazrat e Ali (Radi Allahu Anhu)

    3 Cheezen Mohabbat Badhane Ka Zariya Hai:
    1.Salaam Karna.
    2.Doosron Ke Liye Majlis Me Jagah Khali Karna.
    3.Mukhatab Ko Behtareen Naam Se Pukarna.
    – Hazrat e Umar Farooq (Radi Allahu Anhu)

    Avoid Anger Hadith

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *