Hazrath Syeduna Umar e Farooq raziallahu taala anhu bayan karte hain ke:
Aap HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Shehzadi KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu taala anha ke yaha gaye aur arz kiya:
AYE FATIMA! ALLAH KI QASAM! Main ne aapke siwa kisi aur ko HUZOOR Sallallahu alaihi wasllam ke nazdeek Mahboob tar nahi dekha,
Aur ALLAH ki Qasam! Logon me se mujhe bhi HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke baad koi aap se zyada mahboob nahi.
(Mustadrak,hadith no:4736)
- Ummul mominen Hazrath Ayesha Siddiqa raziallahu taala anha farmati hain:Hum HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki azwaje mutaharraat AAP Sallallahu alaihi wasallam ki bargah me Jama thi aur koi ek bhi hum me se gair hazir na thi,
Itne me KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu taala anha tashreef laayen,
ALLAH ki Qasam! Aapka chalna NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ke chalne ne zarra bhar bhi muqtalif na tha.
(Sahih BUkhari,Hadith no:5928)
- Jaanlo! ke tumhare tamaam amaal me sab se afzal amal Namaz hai, aur Momin ke siwa koi wuzu ki pabandi nahi karta.(Sunan e Ibne Majah,Hadith no:277)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasllam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA ke paas apne bande ki sab se pasandida halat ye hai ke wo sajda rez hokar apne chehre ko khaak alood kar raha ho.
(Al Moujamul Aousat,Hadith no:6075)