HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasllam jab safar ka iraada farmate to apne ahlo ayaal me sab ke baad jis se guftugu farma kar safar par tashreef lejate wo KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA raziallahu taala anha hoti,
aur Safar se wapasi par sab se pehle jiske paas tashreef laate wo bhi KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA raziallahu taala anha hoti.
(Sunan e Abu Dawood,Hadith no:4213)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne hazrath SYEDA FATIMA raziallahu taala anha se irshaad farmaya :
Beshak ALLAH TAALA tumhari Naraazgi par Naraaz hota hai aur Tumhari Raza par Razi hota hai.
(Al Moujamul kabeer ,hadith no:1001)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
FATIMA to bas mere jigar ka gosha hai ,unhe Takleef dene wali cheez MUJHE takleef deti hai.
(Sahih Muslim, hadith no:2449) - ALLAH TAALA ne KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu taala anha ko Taqwa wo Taharat ki Nemat wo Iffat wo Ismat ki Muqaddas chadar ataa farmayi , Aur Qayamat tak Aane wali Khawateen ke liye Aapko Namona banaya , Aapki Sirat Khawateen e Ummat ke liye Mash’ale Rah hai.