- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jisne mere sahaba ko bura kaha to us par ALLAH TAALA ki tamaam farishtou ki aur tamaam insaanou ki LANAT hai.
(Al Moujamul Kabeer,Hadith No:12709)
- Hazrath Yahiya bin muaaz raziallahu taala anhu se logou ne pucha :
kal qayamat ke din kaunsa shakhs zyada aman me hoga ?
Farmaya: wo jo aaj HAQ TAALA se bahut darta hai
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Qayamat ke din ek nida dene wala awaaz dega:
Apni nigahen jhukalo! taake FATIMA BINT E MOHAMMED (sallallahu alaihi wasallam) guzar jayen.
(Tariq e Baghdad,vol:8,pg:142)
- Pareshaniyan aur taklefen kuch waqt ke liye hoti aur uske baad Rahat aur khushiyan hamesha ke liye,
Jaisa ke ALLAH TAALA ne farmaya:
KHUSHKHABRI SUNADO SABAR KARNE WALOU KE LIYE…