- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Beshak Musalman namaz padhta hai aur uske gunah uske sar par rakhe hue rehte hain pas jis waqt wo sajda karta hai to uske gunah jhadh jate hain aur jab wo namaz se farigh hota hai to uski halat aisi hojati hai ke uske tamaam gunah us se jhadh chuke hote hain.
(Shubul Imaan,Hadith No:3144)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Meri Ummat me mujh se sab se zyada mohabbat karne wale wo log hain jo mere baad honge, Unme se ek shakhs ki ye aarzo hogi ke ke kaash wo apne tamaam ahlo ayaal aur maal o doulat ko qurban karke meri ziyarat karle.
(Sahih Muslim, Hadith no:2832)
- Apne tamaam maamlat ALLAH par chodh do kyun ke ALLAH behtaren badla dene wala hai.(Hazrath Syeduna Imaam Hasan raziallahu taala anhu)
- ALLAH ke nazdeek kisi insaan ki izzat jitni zyada hoti jati hai uska imtehaan bhi us qadar sakht hota chala jata hai.(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- kisi ka dil mat dukhao kyun ke uske aanso tumhare liye saza bansakte hai.
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Uhad wo pahadh hai jo humse mohabbat karta hai aur hum usse mohabbat karte hai.
(Sahih Bukhari,Hadees No:4083)
- NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam se jab bhi koi cheez mangi gayi AAP ne ” NA ” nahi farmaya.(Sahih Muslim,Hadith No:2311)
- NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya:Har cheez ka ek dil hota hai aur Quraan e Majid ka dil surah Yaseen hai, Jo shakhs Surah Yaseen padhe to uske padhne par ALLAH TAALA 10 martaba Quraan e kareem padhne ka sawaab ataa karte hain.
(Jame Tirmizi,Hadith no:2887)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Zuhar ki 4 sunnaton ka sawaab aisa hi hai, Jaise Tahajjud ki 4 Rakaat ka, Zuhar ke waqt ALLAH ki tamaam maqlooq uski Hamd o Sana Bayaan karti hai.
(Jame Tirmizi)
- Jab banda ALLAH TAALA ki ita’at karta hai to ALLAH TAALA usse Mohabbat karta hai, aur jab ALLAH TAALA us se Mohabbat farmata hai to use apni maqlooq ke paas bhi mahboob banadeta hai.(Hazrath Abu Darda raziallahu taala anhu)
- Hazrat Hassan Bin Saabit Raziallahu taala anhu farmate Hain:“Jab Andheri Raat Mein HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Ki Peshaani mubarak Zaahir Hoti To Tareeki Ke Roshan Chiragh Ki Manind Chamkti.
”(Zarqani Al-Mawahib,Pg 91, Jild 4)
- Jis ne 5 namazou ki Hifazat ki usko ALLAH TAALA 5 Baten ATAA farmayega:1) MOUT ki saqti se NAJAAT
2) QABAR ke Azaab se REHAYI
3) HASHR ke din Naam e Aamaal ka DAHINE HAATH (yane right hand) me milna
4) PUL SIRAT par se bijli ki tarah GUZAR JANA
5) BILA HISAAB JANNAT me DAKHIL hona.(Mawaa’iz e Hasana ,vol:01,pg:353)