Kisi ke Dil ko Takleef na Do

Hadith
  • Kisi ke dil ko takleef na do, hosakta hai wo tumhare se zyada Allah ko pasand ho.

    (Hazrath Sheik Nizamuddin Aourangabadi rahmatullah alaih)

  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Duniya ko durust rakho, aakhirat ke liye amal karo, istarah se ke kal marjouge.

    (Kanzul Ummal,pg:546)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Kuch log Houz par mere paas aayenge jinhe main Kasrat e Durood ki wajeh se pehchanta ho.

    (Al Qawl ul Badee,pg:235)

  • Jab Haaji se mulaqat karo to Salaam wo musafaha karo aur unke ghar me dakhil hone se pehle apne liye dua ki darkhast karo isliye ke unke gunah baqsh diye gaye hai.

    (Musnad Imaam Ahmed)

  • Isse badh kar koi gunah e kabira nahi ke musalman bhai ko bina wajeh sataya jaye, is se KHUDA AUR RASOOL dono naraaz hote hai.

    (Hazrath Khaja Ghareeb Nawaaz Rahmatullah alaih)

  • Sahih Bukhari

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *