Hazrath Abu Hurairah (رضي الله عنه) Se Riwayat Hai Ke, Ek Baar NABI E KAREEM (صلى الله عليه و سلم) Ne Sahaba Se Farmaya –‘Kya Tum Jante Ho Diwaliya Aur Muflis Kaun Hai?’
Sahaba Ne Arz Kiya Ki – ‘Hamare Yahan To Diwaliya Usse Maana Jata Hai Jiske Paas Na Ek Dirham Ho Aur Na To Koi Saamaan!’ Aap (صلى الله عليه و سلم) Ne Farmaya – “ “Meri Ummat Ka Muflis Wo Hai Jo Qayamat Ke Din Apni Roza, Namaz Aur Zakaat Ko Saath Lekar Hazir Hoga, Magar Uske Sath Wo Log Bhi Hazir Honge, Jin Me Se –Kisi Ko Usney Duniya Me Gaali Di Hogi, Kisi Par Jhoota Ilzaam Lagaya Hoga,Kisi Ka Maal Maar Khaya Hoga, Kisi Ka Khoon Kar Dia Hoga, Kisi Ko NaaHaq Mara-Peeta Hoga!
To Un Tamaam Mazloomo Me Uss Aadmi Ki Nekiyan Baanti Jaane Lagengi, Aur Agar Baant’te-Baant’te Nekiyan Khatm Ho Jaayengi Magar Usney Jin Logo Pe Zulm Ki Hai Abhi Unkey Haq Baaki Reh Gaye Honge,Tou Unn Sataaye Huye Logo Ke Gunaah Iss Aadmi Ke Hisaab Khate Me Daal Diye Jaaynge Aur Fir Isey Jahannam Me Phenk Dia Jayega.- (Muslim Sharif Kitab-32, Hadees-6251)
Iss Hadeese Mubarak Se Maloom Hua Ke Allah Ke Bando Ke Haq Maarne Wala Aur Unpar Nahaq Zulm Karnewala Roze Qayamat Sabse Badd’tar Shakhs Hoga.. Uss Din Na Uska Roza Usey Fayda Dilane Wala Aur Naa Hi Uski Namaz Aur Naa Hi Uski Zakaat.Jab Tak Ke Wo Shakhs Khud Apne Kiye Par Nadeem Hokar Unn Sabse Muafi Mang Na Le Tab Tak Wo Allah Ke Nazdik Bakhshish Ke Layaq Na Hoga..Allah Ta’ala Hume Har Kism Ke Zulm Se Bachne Aur Bachaane Ki Taufiq Ata Farmaye..
Aye Imanwalo ! Aapas Me Ikhtelaf Na Karna Agar Aisa Karoge , To Tum Buzdil Bana Diye Jaoge