Labbaik Ya Husain Ibne Ali

HUSAIN (raziallahu taala anhu)

Karbala ko karbala ke shahenshah par naaz hai,

Us Nawase par MOHAMMED MUSTAFAﷺ ko Naaz hai,

Yu to lakhou sajde kiye maqlooq ne magar,

HUSAIN (raziallahu taala anhu)ne wo Sajda kiya jis par khuda ko Naaz hai.

Image result for fancy line

Hazrath umme salma raziallahu anha ne farmaya:

Maine Nabi Akram Sallallahu alaihi wa sallam ko (khwaab mein) dekha ke Aap ka Mubarak Chehra aur aapke reesh mubarak par ghubaar hai.

Arz karne par aapne farmaya:

Main Karbala mein Hussain ki shahaadat par maujood raha….

(Jame Tirmizi, Hadith no: 3704)

Image result for fancy line

Hazrath Jafer bin Muhammed rahmatullah alaih farmate hai ke HAZRATH IMAAM HUSAIN Raziallahu taala anhu ki shahadat ke baad Aapke rouza e athar par 70 hazaar farishte utre jo qayamat tak aapke liye rote rahinge.

(Al Ghuniya lit Talibi Tariqi lil haqqi)

Image result for fancy line

 

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrath Imaam e Husain raziallahu taala anhu ke rone ki aawaz suni to Irshaad farmaya:

BETI! KYA AAPKO MALOOM NAHI ! INKA (HUSAIN) KA RONA MUJHE TAKLEEF DETA HAI.

(Noor ul Absaar fi manaqibi Aali baitin nabiyil mukhtaar,pg:139)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *