By: Hafiz Syed Muddassir Ahmed ( fazil jamia Nizamia ).
Sare mulk me lock down ki wajah se eid ki namaz eidgah ya masjid me nahi hogi, agar government green zones ya orange zones me permission dede tab bhi thode bhot log hi is bar namaz ada kar sakenge, kuch towns ya villages me agar government permission dede to wo log bhi namaz ada karlenge, lykn metro cities ya red zone me namaze Eid ka koi imkan nazar nahi aata.
Bhot sare log yahi confirm karna chahte hain k is sal Eid ki namaz hogi ya nahi..? agar hogi to kahan or kaise padhen……..?
Islam me har cheez ka hal or badal maujood hy, isi tarah se Eid ki namaz k bhi sare masayel zikar kiye gaye hain.
Eid ki namaz Ahnaaf ( imam azam Abu Haneefah rh or unke k manne walaon ) k pas wajib hy,
Agar kisi ki Eid ki namaz chootjaye to wo tanha Eid ki namaz na padhe, agar namaze Eid k jo sharayet hote hain kisi jagah wo sharayet na ho to wahan par bhi Eid ki namaz nahi hogi, lykn insabko 2 rakat shukrana ya phir chasht ki namaz k 2-2 rakat karke kamse kam 2 or zyada se zyada 12 rakat ada karna hoga.
Shariyat me Eid ki namaz us ilaqe me durust hy jahan juma durust hy, agar kisi jagah par juma hi nahi horaha hy to wahan k logaon par Eid ki namaz bhi wajib nahi.
Note : gharaon me Eid ki namaz durust nahi.
Note : gharaon me Eid ki namaz durust nahi.
Eid ki namaz baghair jamat k nahi hoti, Isi tarah se shukrana or chasht ki namaz ki koi jamaat nahi hoti yani har aadmi ko apni apni namaz Alaheda Alaheda padhna hoga Kyunke nafl namaz ki jamaat banana makrooh hy, sirf Ramadan k tahajjud ki jamaat ki shariyat me ijazat hy.
..
Eid ul Fitr k shukrana ki namaz ka time fajar ka waqt khatam hone k 22 minutes bad jab suraj compleate saaf nikal jata hy us waqt shuroo hokar jab suraj bilkul beech aasman me hota hy jisko ham istewa kehte hain tak hy.
Eid k din subah before noon tak ye time hy lykn before 30 mintues k andar andar is namaz ko ada karlena behtar rahega.
Is darmiyan aap kabhi bhi namaz ada kar sakte hain.
Behtar tareqa ye hy k sab family members koi 1 time fix karlen 8am 9am 10am jo bhi, usme sab 1 sat apni apni separate namaz shuroo kare , jab namaz khatam hojaye to ijtemaye ( sab milkar) dua kare, phir agar chahe to 1 dosre ko eid ki mubarakbad hat milakar ya gale milakar deen.
Bhale hi aap Eid ki namaz na padhrahe ho or Eidgah bhi nahi jarahe ho lykn phir bhi aapko Eid k din kuch zaroori ( sunnat o mustahab ) kam karne hain.
●Fajr ki namaz padhna.
● Sadqaye Fitr / Fitra 1.25kg / sawa kilo gyahoo / wheet ya uski qeemat 70 rupees per head, ghar k sabhi bachaon , bodhaon, aurtaon ki taraf se ) kisi ghareeb muslim ko dedena ya usko dene klye utha rakhna.
● Ghusl karna.
● Itar lagana ( jisme alcohol na ho ).
● Miswak karna.
● Surma lagana.
● Naya ya pakeeza ya sabse acha libaas pahenna.
● Hear cutting, nail cutting karna.
● Namaz klye jaldi jana ya awwale waqt musalle par baithna.
● Namaz se pehle kuch sadqa khairat karna.
● Namaz se pehle kuch khajoor ya meetha khana ( khajoor ho to 1 ya 3 ya 5 ya 7 ki tedad ) me khana.
● Takbeer
اَللهُ أَكْبَر ُ، اَللهُ أَكْبَر ُ، اَللهُ أَكْبَر ُ، لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ ، وَاللهُ أَكْبَرُ ، اَللهُ أَكْبَرُ ، وَلِلَّهِ الْحَمْدُ
ka wird karna.
_________________________________
Hafiz Syed Muddassir Ahmed
_________________________________
Thanks for finally talking about > How to offer Eid Ul Fitr Prayer in Lock down &
Eid ki namaz kaise padhen | Ahle Sunnatul Jamaat
< Loved it!