MAA-BAAP KE HUQOOQ, ADAAB AUR UN KE FAZAAIL:
1. Maa ke qadmo ke niche jannat hai.
2. Baap jannat ke darwazo me se beech ka darwaza hai.
3. Waalidain ki khoob khidmat kare, usse rizqaur umar me barkat hoti hai.
4. Waalidain ka aur unke rishte daar, dost ahbaab aur mutalliqeen ka ikram wa ehteraam kare.
5. Agar waalidain niche baithe ho to unchi jagah par na baithe aur na unchi awaaz me baat kare.
6. Agar waalidain kisi kaam se rooke to usi me bhalayi samajh kar ruk jaaye.
7. Waalidain boodhe ho jaye to unki har tarah se khidmat kare.
8. Aisa koyi kaam na kare jis se waalidain naraz ho.
9. Waalidain ki har baat mane, agar khilaf-e-sharah (islam ke khilaf) ho to use baaton me taal de.
10. Waalidain ki riza (khushi) me Allah ki riza hai aur unki narazgi me Allah ki narazgi hai.
11. Waalidain ki agar zindagi bhar bhi khidmat ki jaye to unke ek ahsan ka badla bhi nahi chukaya ja sakta.
ALLAH TAALA NE FARMAAYA:
“Aur tere Parwardigaar Ne huqm De Rakha hai ke Mere Alaawa Kisi ki Ibaadat Mat karo, Aur Apne Maa Baap Se Acchha Sulook Kiya Karna, Agar Unme Ka ek Ya Dono Teri Maujoodagi Me Budhaape Ko Pahunche ( toh unki Khidmat karte hue) Tum Unko ‘ uff’ tak Bhi Na kehna Aur Na Unko Jhidakna Aur Na unko Taqleef Dena (warna unka Zara sa bhi Dil toota Toh Teri Khair Nahin),
Aur Muhabbat Se unke Aage Jhuk Jaaya Karna Aur (Unke Liye Dua Karte Hue ) Kaha Karna Ki
Aiy mere Parwardigaar ! Un dono Par Raham Farma, Jaisa Ki Unhone Mujhe Bachpan Me paala Posa”
(Surah bani Israel ayat 23-24)
Is aayat Se umoom Se Jamhoor Ulema Ne Yahi Huqm Nikaala Hai Ki Maa , Baap ko Kisi Bhi Tarah Ka Zara Sa bhi Takleef Pahunchaana Haraam Hai.
Related Links:
Aulaad Par Sabse Jayda Haq Maa-Baap Ka
MAA BAAP KI Khidmat
assalamu alaikum aap ki sirte ahle sunnet he