- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Madine Munawwara ka juma dusri jagah ke Hazaar Jumou se Afzal hai.
(Shubul Imaan, Hadith no:3825)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo Juma ke din ek hazaar martaba Durood padha karega wo jab tak apna thikana jannat me na dekhlega us waqt tak use Mout nahi aayegi.
(Al Targheeb:501)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Qayamat ke din Suraj logon ke bahut qareeb aajayega yaha tak ke pasina aadhe kanou tak puhanch jayega,
Log Is halat me (pehle) Hazrath Adam alaihissalaam se madad maangne jayenge phir Hazrath Mosa Alaihissalaam se phir bil aakhir HAZRATH MOHAMMED MUSTAFA AHMED E MUJTABA Sallallahu alaihi wasallam se Madad maangenge.
(Sahih Bukhari,hadith no:1405)