Madine Munawwara ka juma dusri jagah ke Hazaar Jumon se Afzal hai

Madine Munawwara
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Madine Munawwara ka juma dusri jagah ke Hazaar Jumon se Afzal hai.

(Shubul Imaan, Hadith no:3825)

  • HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Jab Raat ko Tashreef laate to Fiza me KHUSHBOO ke phelne se AAP Sallallahu alaihi wasallam ki pehchan hoti..

    (Musannaf Ibne Abi Shaiba;hadith no:2632)

  • ALLAH TAALA Ki Mohabbat ki nishani ye hai ke Banda Ibadat e Ilaahi me Sakht se Sakht Takleef bardast kare , kyun ke Mohabbat Aaraam se hasil nahi hoti.

    (Hazrath Sayeed Rahmatullah Alaih)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jis shakhs ne ALLAH TAALA ki Mohabbat ko apne nafs ki Mohabbat par tarjeh di, ALLAH TAALA use logon ki taklifon se mahfooz farmayega.

    (Kanzul Ummal,hadith no:43127)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya:

    “Jo shakhs mujh par Juma ke din aur Juma ki raat Durood Padhe ALLAH TAALA uski 100 Hajaten Pori farmata hai, 70 Aakhirat ki aur 30 Dunya ki,

    phir ALLAH TAALA uske liye ek farishta muqarrar kar deta hai jo ke mere rouze me Durood istarah paish karta hai Jis tarah Tumhe Hadye paish kiye jate hain,

    wo Mujhe us shakhs ke naam wo nasab ki uske Khandaan ke saath khabar deta hai, pas Main Use Apne Paas Safaid Sahife me Sabt karleta ho.”

    (Shubul Imaan,hadith no:3035)

     

     

 

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *