- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, 33 martaba Alhamdulillah, 34 martaba Allahu Akbar padhe wo kabhi nuqsan me nahi rehta.
(Sahih Muslim,hadith no:1349)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo Maghrib ke baad 6 rakaat padhe aur darmiyan me koi (duniyawi baat na kare)to use 12 saal ki ibadat ke barabar sawaab milega.
(Sunan e Ibne Majah,pg:81)
- Aur ALLAH ki raah me kharch karo aur apne hi haton se khud ko halakat me na daalo, aur neki ikhteyaar karo, beshak ALLAH neik logon se Mohabbat farmata hai,
(Surah Al Baqarah:195)
6 rakaat ke niyat kaise karna ?
6 Rakaat Namaz do rakaat karke padhe, yane teen salaam se padna chahiye.