Mahe Ramzan

Fasting
  • Hazrath Abdullah bin Abbas raziallahu taala anhuma ne farmaya : Jab Mahe Ramzan Shuru hota to HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam har qaidi ko Aazaad kardete aur har Mangne wale ko ataa farmate .

(Shubul Imaan ,Hadith no :3475)

  • Jiski zaat se maqlooq ko faida phunche wahi ALLAH ko pyara hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani raziallahu taala anhu)
  • Ramzan wo mahina hai, jisme Quraan Nazil kiya gaya , is haal me ke wo logon ke liye hidayat hai aur isme haq wo batil me tameez karne wali Roushan dalilen hai, Tum me jo koi is mahine ko paaye wo iske Roze rakhe !(Surah Al Baqarah :185)
  • Hazrath Abu Abdur Rahman Raziallahu taala anhu HAZRATH SYEDUNA ALI MURTUZA Raziallahu taala anhu se Riwayat karte hain :Hazrath ALI raziallahu taala anhu ne Maah e Ramzan me HUFFAAZ EKRAAM ko bulwaya aur unme se ek saheb ko hukum farmaya ke 20 Rakaat Taraweeh padhayen.(Baihaqi ,Hadith no:4620)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:sehri khana ba’is e barkat hai, isliye sehri na chodo, agarche paani ka ek ghont pikar hi sehri karni padhe,kyun ke ALLAH TAALA sehri khane walon par rehmat bhejhte hain aur ALLAH ke muqarrab farishte sehri khane walon ke liye Dua e maghfirat karte hain.

    (Musnad Imaam Ahmed,hadith no:11396)

    Sehri Barkat Ka Khana

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *