Majlis e zikar me ALLAH TALA ka zikar

Majlis e zikar me ALLAH TALA ka zikar
  • لا حولا ولا قوة الا بالله
    Jannat ke khazanou me se ek khazana hai.(Sunan e Abu Dawood,hadith no:1526)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Zuhar ki 4 sunnaton ka sawaab aisa hi hai, Jaise Tahajjud ki 4 Rakaat ka, Zuhar ke waqt ALLAH ki tamaam maqlooq uski Hamd o Sana Bayaan karti hai.(Jame Tirmizi)

    Image result for allah ka zikr

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab log majlis e zikar me baith kar ALLAH TA’LA ka zikar karke uthte hain to unhe kaha jata hai: Khade hojaou! ALLAH ne tumhare gunah baqsh diye hain, Tumhare gunah nekiyou me badal diye gaye hain.

    (Shubul Imaan,Hadith no:695)

    Allah ka zikr

  • Sabar ka Imaan me Wahi maqaam hai jo Sar ka Jism me hai.(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
  • Hazrath Ali raziallahu taala anhu farmate hain:Main ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam se pehle aur baad aapki tarah kisi ko na dekha.(Shamail e Tirmizi,pg:2)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya;lazzat’on ko khatam karne wali cheez yane ” MOUT ” ko kasrat se yaad karo.(Jame Tirmizi)
  • kisi se badla lene me jaldi na karo aur kisi ke saath neki karne me der na karo.(Hazrath Shaqeeq balqi rahmtullah alaih)
  • ALLAH TA’LA ke paas sab se zyada mahboob sifaat ye hai:

    1) Ghamgeen afraad ki faryaad sunna
    2) Miskin’on ki hajat puri karna
    3) Bhok’on ko khana khilana

    (Sultan ul Hind Hazrath khaja e Khajgaan Moin uddin Rahmatullah Alaih)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *