- NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Har Nabi ke liye koi na koi Haram hai, aur Mera Haram Madina Hai.
(Al Moujamul Aousat,Hadith No:6607)
- NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ghar tashreef laane ke baad sab se pehle Miswaak karte.(Sahih Muslim ,Hadith NO:253)
- kisi se badla lene me jaldi na karo hosakta hai ke use apni galti ka ehsaas hojaye aur kisi ke saath neki karne me der na karo.(Hazrath Shaqeeq balqi rahmtullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Dilon ko bhi zang lagta hai jaisa ke lohe ko jab pani ki wajeh se zang lagjata hai,
Arz kiya gaya dilon ke zang ko kaise dur kiya jaye?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Mout ki kasrat se yaad aur Quraan e paak ki Tilawat se (dil ka zang dur hota hai)..
(Kanzul Ummal,pg:551)