- Nemat ka milna bhi azmaish hai ke tum shukar adaa karoge ya nahi.
- ALLAH ke nazdeek kisi insaan ki izzat jitni zyada hoti jati hai uska imtehaan bhi us qadar sakht hota chala jata hai.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Momin pareshaniyon aur mushkilon par sabar kiye bagair Imaan ki mithas ko nahi paasakta.
(Hazrath Junaid Baghdadi rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Khane aur peene par shukar adaa karne wale ka darja Roza rakh kar sabar karne wale ki tarah hai.
- Aye Imaan walo! Tum apni awazou ko NABI (sallallahu alaihi wasallam ) ki Awaaz par baland mat karo aur Aapki qidmat me is tarah guftugu mat karo jis tarah tum ek dusre se guftugu karte ho warna tumhare Aamaal zaae wo akarat hojainge aur tumhe iski khabar na hogi.
(Surah Al Hujrat:2)
- Ek Shakhs HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ki bargahe Aqdas me Arz kiya:
Ya RASOOLALLAH! Sallallahu alaihi wasallam Kya mai aisa karsakta ho ke apna tamaam waqt AAP par Durood padhne me lagado ?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Tab to ALLAH TAALA tumhari Duniya wo Aakhirat ki Mushkilen Aasaan farmadega.(Musnad Imaam Ahmed)
- Mere paas waqt nahi hai un logon se nafrat karne ka jo mujh se nafrat karte hai, kyun ke,
Main masroof rehta ho un logou me jo mujh se mohabbat karte hai.(Hazrath Sheik Saadi rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
TUm me se behteren wo hai jo mere baad mere Ahle bait ke liye behteren hai.
(Abu Yala)
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Miskeen par kharch karna sadqa hai aur rishtedaron par kharch karna sila rehmi wo sadqa dono ko shamil hai.
(Jame Tirmizi,hadith no:660)
- ALLAH TAALA se yaqeen ki alamatou me se sab si badi alamat ye hai ke dua ki qubuliyat me deri ke bawajoud musalsil Dua mangte rahe.
- Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu ne farmaya:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Mujh se irshaad farmaya:
Aye Abu Huraira! Logon ko Quraan sikhate raho aur sikhte raho,
Kyun ke isi haal me agar tumhe Mout aajaye to Farishte tumhari qabar ki is tarah ziyarat karinge jaise Kabatullah shareef ki ziyarat ki jati hai.(Kanzul Ummal,hadith no:29377)