Mujh se Dua maango Main tumhari dua qubool karonga

  • HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم) ne HASAN AUR HUSAIN Raziallahu taala anhuma ke liye farmaya :Jisne inse Mohabbat ki usse Main ne Mohabbat ki, aur jis se Main Mohabbat karo usse ALLAH TAALA Mohabbat karta hai, aur jisko ALLAH TAALA Mahboob rakhta hai use Nematon wali Jannaton me Dakhil farmata hai.(Al Moujamul Kabeer , hadith no :2655)
  • ALLAH TAALA ka irshaad hai:Mujh se Dua maango Main tumhari dua qubool karonga.(Surah Al Momin:60)
  • ALLAH ki qasam! momin wo nahi hai jo ek mahina do mahina ya saal do saal amal kare,balke momin wo hai jo hamesha ALLAH TAALA ke hukum par chale aur ALLAH TAALA ki pakad se darta rahe.(Hazrath Hasan Basri rahmatullah alaih)
  • NABI E KAREEM ( صلى الله عليه و سلم) ne Syeda Fatima raziallahu taala anha ne farmaya:Beshak ALLAH TAALA tumhari Narazgi par Naraz hota hai aur Tumhari Raza par Razi hota hai.(Al Moujamul Kabeer,hadith no:1001)
  • Neik logon ki qidmat karo aur unke nazdeek hojaou aur unki qidmat ke silsile me apne andar ikhlaas paida karo.(Hazrath Ghouse Azam raziallahu taala anhu)
  • Jo shakhs namaz ke liye achi tarha wudhu kare aur phir farz namaz adaa karne ke liye masjid ki taraf jaye ,aur phir logaou ya jamaat ke saath masjid me namaz adaa kare ,to Allah Taala uske gunah baqsh deta hai.(Sahih Muslim,Hadith No:232)
  • Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu farmate hain:NABI E KAREEM ( صلى الله عليه و سلم)  par SALAAM bhaijhna Gulaam azaad karne se AFZAL hai.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *