Mujhe kaise yaqeen ho ke aap NABI hain?

hadith

Hazrath safwan bin Assal raziallahu anhu farmate hai:

Qaoum e Yahood ke baaz Afraad HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Qidmat me hazir hue aur sawaal karne ke baad alaniya gawahi di ke HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ALLAH ke Sacche RASOOL hain,

Unho ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke Dast e mubarak aur Qadam e Mubarak ko Bosa diya,

Aur Kaha:
Hum Gawahi dete hain ke Beshak AAP NABI (sallallahu alaihi wasallam) hain. Subhan Allah!

(Sunan e Ibne Majah,hadith no:3705).

Ek dehati HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e aqdas me hazir hue aur arz kiya:

Mujhe kaise yaqeen ho ke aap NABI hain?

HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Agar mai is khajoor ke khoshe ki (tehni) ko bulaun to tum mere Nabi hone par yaqeen karoge?

Dehati na arz kiya: Haan

HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne us tehni ko bulaaya to wo darakht se utar kar aapki qidmat me aayi aur phir Aapke hukum se wapis chale gayi,

Wo dehati furan is mojize ko dekh kar Imaan le aaye. Subhan Allah!

(Jame Tirmizi,hadith nk:3628)

Comments

comments

One thought on “Mujhe kaise yaqeen ho ke aap NABI hain?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *