Mujhe sab se zyada pasand wo baat hai jo sab se zyada sacchi ho

honesty
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Main tum me se kisi ki tarah nahi hun ,mera rab mujhe khilata aur pilata hai.

(sahih Bukhari,Hadees No:1825)

  • Aanson ka sukh jana dilou ki sakhti ki wajeh se hota hai,

Aur dil ki sakhti gunahon ki zyadati ki wajeh se hota hai,

Aur Aaib zyada hone se gunah zyada hote hai.

(Hazrath Yahiya bin muaaz rahmatullah alaih)

  • Momin ki nishani ye hai ke aise logon ki suhbat me rahe jin se deen ki islah ho.

    (Hazrath Usman e Ghani raziallahu taala anhu)

  • Agar momineen ALLAH TAALA se gunahon par maafi maangte rahe to ALLAH TAALA un par azàab nazil nahi farmayega.

    (Surah Anfaal:33)

    Gunahon par maafi maangte rahe

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Mujhe sab se zyada pasand wo baat hai jo sab se zyada sacchi ho.

    (Sahih Bukhari, Hadees no:2142)

  • Jo shaks jhoot ko chodh de uske liye jannat me mahal banaya jata hai,jisne apne aqlaaq ki islaah (durustagi) ki uske liye bhi janat ke baland maqaam par mahal banaya jata hai.

    (Jame Tirmizi)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *