- Musibaton aur taklifon ko bardast karne par hi Taraqqi hasil hoti hai.(Hazrath Mujaddid e Alf e Saani rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Uhad wo pahadh hai jo humse mohabbat karta hai aur hum usse mohabbat karte hai.
(Sahih Bukhari,Hadees No:4083)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab tak banda apne musalman bhai ki madad karta rehta hai ALLAH TAALA uski madad farmata hai.
(Sahih Muslim,hadith no:2699)
- Jo shakhs mere kisi wali se dushmani kare to mai uske khilaaf jang ka elaan karta ho.(Sahih Bukhari,Hadith no:6502)
- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Jab Raat ko Tashreef laate to Fiza me KHUSHBOO ke phelne se AAP Sallallahu alaihi wasallam ki pehchan hoti..(Musannaf Ibne Abi Shaiba;hadith no:2632)
- Neik logon ka zikar karne se gunah maaf hote hain.(Kanzul Ummal,Hadith no:12685)
- Neik logon ke saath rehne wala nakaam wo namuraad nahi hota.(Hazrath Shahaab uddin seharwardi rahmatullahi alaih)
- Ambiya Ekram ka zikar karna Ibadat hai, aur Aouliya wo Salihen ka zikar karna gunahon ka kaffara hai.(Kanzul Ummal, hadith no:32247)