- Apni raat is haal me na guzaro ke tumhare dil me kisi ke liye burayi, kina, dushmani ho,
Jo tum par zyadati kare tum uske haq me Dua ke khair karo.
(Hazrath Ghuose Azam raziallahu taala anhu)
- Sabar Duniya aur Aakhirat me har Neki aur Salamati ki bunyaad hai.
(Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani rahmatullah alaih)
- Insaan ki pehchan ache libaas nahi balke ache aqlaaq hai..
- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Jab Raat ko Tashreef laate to Fiza me KHUSHBOO ke phelne se AAP Sallallahu alaihi wasallam ki pehchan hoti..
(Musannaf Ibne Abi Shaiba;hadith no:2632)
- Musibaton aur taklifon ko bardast karne par hi Taraqqi hasil hoti hai.
(Hazrath Mujaddid e Alf e Saani rahmatullah alaih)
- Zindagi me kamon me takhir hona usme bhi hikmat hoti hai aur ALLAH TAALA use behtar janta hai, Apne maamlat ko ALLAH SUBHANAHU WA TA’LA ke hawale karden aur bharosa rakhen aur yaqeen rakhe ke iska bahut behtar badla ataa hoga…
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Syeda Fatima raziallahu ta’la anha ne farmaya:
Beshak ALLAH TA’LA tumhari Narazgi par Naraz hota hai aur Tumhari Raza par Razi hota hai.
(Al Moujamul Kabeer,hadith no:1001)
- Hazrath Syeduna Umar e Farooq raziallahu taala anhu bayan karte hain:
Aap HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Shehzadi KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu taala anha ke yaha gaye aur arz kiya:
AYE FATIMA! ALLAH KI QASAM! Main ne aapke siwa kisi aur ko HUZOOR Sallallahu alaihi wasllam ke nazdeek Mahboob tar nahi dekha,
Aur ALLAH ki Qasam! Logon me se mujhe bhi HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke baad koi aap se zyada mahboob nahi.
(Mustadrak,hadith no:4736)