- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
FATIMA (Raziallahu taala anha) MERE Jism ka tukda hain , pas jisne unhe Naraaz kiya usne Mujhe Naraaz kiya .
(Sahih Bukhari, hadith no:3510)
- Aur jo shakhs ALLAH aur uske RASOOL (sallallahu alaihi wasallam) ki Ita’at karta hai aur ALLAH se darta hai aur uska taqwa ikhtiyaar karta hai pas Yahi log Kaamiyaab hone wale hai.
(Surah Al Noor:52)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu Alaihi wa sallam Ne irshaad Farmaya:
yaqinan Allah Taala har mamle me narmi karne ko pasand farmata hai.
(Sahih Bukhari,Hadith No:5678)
- NABI E KAREEM Sallallahu Alaihi wa sallam ne Irshaad farmaya:
Tumhara apne musalmaan bhai ke liye muskurana bhi sadqa hai.
(Jame Tirmizi,Hadith No:1956)
- Hasad karne wale ke liye yahi saza kaafi hai ke jab tum khush hote ho to wo ghamgeen hojata hai.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Khane aur pine par shukar adaa karne wale ka darja Roza rakh kar sabar karne wale ki tarah hai.
(Sahih BUkhari,Hadith no:1427)