- Ummul Momineen Hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha farmati hain:NABI E KAREEM (ﷺ) Ramzan Ul Mubarak ke Aakhri Ashre me Etekaaf farmaya karte aur Irshaad farmate :
Tum Shab e Qadar ko Ramzan ul Mubarak ke Aakhri Ashre me Talaash karo !
(Sahih Bukhari,hadith no :2020)
NABI E KAREEM (ﷺ) ne Etekaaf ke baare me farmaya:
Wo gunah se rok deta hai, uske liye aisi nekiyan likhi jati hain jo tamaam nekiyou par amal karne walou ke liye likhi jati hain.
(Sunan e Ibne Majah,Hadith No:1781)
Ummul Momineen Hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha farmati hain
NABI E KAREEM (ﷺ) Aakhir ashre me ibadat ka itna zyada ehtemaam farmate jo dusre mouqe par nahi farmate. (Sahih Muslim)
Dua etekaaf