- Koi bimari mutadi nahi hoti , badshugni jayez nahi ,ullo aur safar ke mahine me koi nahusat nahi!
(Sahih Bukhari,Hadiith No:5380)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne hazrath SYEDA FATIMA raziallahu taala anha se irshaad farmaya :
Beshak ALLAH TAALA tumhari Naraazgi par Naraaz hota hai aur Tumhari Raza par Razi hota hai.
(Al Moujamul kabeer ,hadith no:1001)
- Jab tum kisi ki achayi ka badla na de sako to apni zuban ke saath shukar guzari me kasrat karo
(Hazrath Imaam Qushairi rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Sahaba ekraam se irshaad farmaya:
Beshak Main wo sab kuch dekhta ho jo tum nahi dekh sakte.
(Jame Tirmizi,vol:2,pg:57)
- Quraan shareef ki kasrat se tilawat karne wala qayamat ke din khaas muqarrab faristou ke saath saf me khada hoga.
(Sahih Muslim)
- 2 Qadam ALLAH TAALA ko bahut pasand hain:
Ek Qadam jo Farz Namaz ke liye Uthne wala,
Aur Dusra Qadam jo Kisi BImaar ki Iyadat ke liye uthne wala..
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Farishte dua karte hain tum me se us shakhs ke liye jo apni namaz ki jagah baitha rahe jab tak uska wuzu na tooth jaye, Farishte arz karte hain:
Ya ALLAH! Is shakhs ko baqshde Ya ALLAH ! Is shakhs par rahem farma!
(Sahih Bukhari,vol:1,pg:63)
Mayoos wo hota hai jo ALLAH par yaqeen nahi rakhta,
Aur, Mahroom wo hota hai jo ALLAH ki nematou ka shukar adaa nahi karta.