- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Tum me se behteren wo hai jo mere baad mere Ahle bait ke liye behteren hai. - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Meri SUNNAT ko us waqt Mazbooti se Thaame rakhne wale ke liye SHAHEED ke barabar sawaab hai.jabke Meri Ummat Fasaad me mubtala hogayi ho. - ” Har maamle me Itteba e Sunnat ko apne liye mash’ale raah banou, usi me hidayat aur Noor hai.”
(Hazrath Muhaddis e Deccan Abdullah Shah naqshbandi o Qadri Rahmatullah Alaih) - Hazrath Imaam Zain ul Abeden raziallahu taala anhu jab wuzu farmate to chehra e anwar zard padh jata, Ghar wale puchte ke ye kya halat hai jo aap par wuzu ke waqt taari hojati hai?
Aap farmate:
Kya tumhe maloom hai ke Main kiske darbaar me Khada horaha ho? - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Ahle Bait E Mustafa sallallahu alaihi wasallam ki ek din ki mohabbat pure saal ki ibadat se behtar hai aur jo isi mohabbat par inteqal kargaya to wo jannat me dakhil hogaya.
(Sunan e Dailami)