اللهم اني اسئلک حبك، حب من يحبك، و العمل الذي يبلغني حبك.
Aye ALLAH ! Main tujh se teri mohabbat, tujh se mohabbat karne walou ki mohabbat aur teri mohabbat paida karne wale amal ka sawaal karta ho.
* NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jis shakhs ne ALLAH TAALA ki Mohabbat ko apne nafs ki Mohabbat par tarjehdi (yane aage rakha), ALLAH TAALA use logou ki taklifou se mahfooz farmayega.
(Kanzul Ummal,hadith no:43127)
* Gham sabhi rahato taskeen me dhal jate hain,
Jab karam hota hai halaat badal jate hain.
* Jab tumhare dil me kisi ke liye nafrat paida hone lage to uski achayou ko yaad karo
* Koi cheez dil ki siyayi (kalepan) ko dur nahi karti siwaye Quraan e majid ki tilawat aur mout ki yaad ke.
* Jisne RASOOL E AKRAM (Sallallahu alaihli wasallam) ki Ita’at ki yaqinan usne ALLAH ki Ita’at ki…
(Surah Al Nisa:80)
* Haya Haqiqat me ye hai ke ALLAH TAALA ne tumhe jin cheezou se roka hai wo tumhe us jagah na paaye…