- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Musalman ko bimari ki wajeh se ALLAH TA’LA uske gunah is tarah khatam kardeta hai jis tarah aagh sone aur chandi ke mail kucail ko khatam kardeti hai.(Sunan e Abu Dawood,hadith no:3092)
- Jab bhi koi shakhs NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par Durood bhejhta hai, wo Durood HUZOOR E AQDAS Sallallahu alaihi wasallam ki baargah me us shakhs ke naam ke saath pesh kiya jata hai.(Al Qawl ul Badee,pg:300)
- Wo momino ki janon se bhi qareeb hue,
Kaha se kisne pukara HUZOOR (sallallahu alaihi wasallam) jante hai.. - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Farz Namaz ke baad Raat ki namaz tamaam namazou se afzal hai.(Sahih Muslim)
- Jo Tumhare Saath Mohabbat Rakhe us se Mohabbat Rakho.(Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani Rahmatullah Alaih)
- Beshak ALLAH TA’LA ne musalmano par bada EHSAAN farmaya ke unme unhi me se BA AZMATH RASOOL bhejha.(Surah Aale Imraan:164)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Dua farmayi:AYE ALLAH ! Madine ko hamara Mahboob banade jaisa ke to ne Makkah ko hamara mahboob shaher banaya hai balke madine ki muhabbat usse badh kar ataa farma..(Sahih Bukhari)
- Ummul Mominen Hazrath Ayesha Siddiqa raziallahu taala anha farmati hain:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Andhere me bhi is tarah Dekhte jis tarah Roushni aur ujale me dekhte hain.
(Baihaqi)
- Sabar ek aisi sawari hai jo kabhi thokar nahi khati.(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab tumhe Jamayi aaye to puri quwwat se roko.(Al Adab Al Mufrad,Hadith no:969)
- Jis shakhs ke dil me rai ke dane ke barabar bhi takabbur hoga,wo jannat me dakhil nahi hoga.(Sahih Muslim)
- Aur ALLAH bahut bade FAZAL wala hai.(Surah Al Juma:4)
- Hazrath Imaam Zain ul Abeden raziallahu taala anhu jab kisi aise shakhs ko dekhte Jo bimari se shifa yaab hochuka hota tha to Aap us se farmate:Tumhe gunahou se pakizgi Mubarak ho Ab naye sire se Aamaal karo.