Nabi Muhammad sallallahu alaihi wasallam

nabi saw
Hadis Nabi Muhammad SAW
Hadis Nabi Muhammad SAW

Jab HAZRATH NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki wiladat hui to saari duniya NOOR se mamoor hogayi,
Aur FARISHTE apas me ek dusre ko KHUSHKHABRI dene lage, aur har AASMAAN me Zabarjad aur Yaqoot ka ek ek Sutoon lagaya gaya jiski wajeh se Aasmaan Munawwar hogaya, wo Sutoon Mala e Aala me Maroof hai, jise HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne meraj ki raat mulaheza farmaya to arz kiya gaya:
yehi wo sutoon hai jo aapki WILADAT ki KHUSHI me nasab kiye gaye aur jis raat Aapki wialdat hui ALLAH TAALA ne HOUZE KOUSAR ke kinare par ek hazaar khushbodaar mushk ke darakht lagaye , aur unka phal ahle jannat ke liye bakhor banadiya gaya, aur Tamaam Aasmanou ki Maqlooq ALLAH TAALA se Salamati ki Dua karne lage……..”

(Al Khasa’es Al Kubra,vol:1,pg:80)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihiwasallam ne irshaad farmaya:
    Hazrath jibreel Amen (Alaihissalaam) ne arz kiya:
    Main ne tamaam zameen ke atraaf kinare kinare ko chaan liya, magar na to main ne HAZRATH MOHAMMED MUSTAFA Sallallahu alaihiwasallam se behtar kisi ko paya,
    aur na hi main ne bano hasim ke ghar se badh kar behtar koi ghar dekha..
    (Al Moujam ul Aousat, Hadith No:2685)

    hadees e nabi

  • HUZOOR NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
    Qayamat ke din Mere sab se zyada qareeb wo honge jo kasrat se mujh par Durood o Salaam paish karte hai.
    (Jame Tirmizi,Hadith No:486)
  • Beshak ALLAH Aur uske farishte NABI E AKRAM (sallallahu alaihi wasallam par Durood Bhaijhte hain ,Aye Imaan walo ! Tum bhi un par Durood bhaijho aur khoob Salaam paish karo.
    (Surah Al Ahzaab:56)Related Link :
    Muhammad
    12 favorite food of prophet muhammed

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *