Naik logon ka zikar karne se gunah maaf hote hain

hadiths
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    ALLAH TAALA ko wo amal bahut pasand hai jisko karne wala hamesha pabandi se kare.

    (Sahih Bukhari,vol:1,pg:121)

  • NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Yaqinan baaz log ALLAH TAALA ke zikr ki kunjiyan hote hai unhe dekh kar ALLAH TAALA yaad aajata hai.

    (Shubul Imaan,Hadith No:499)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jo sabar karta hai ALLAH TAALA Use sabar ataa farmata hai aur sabar ki taqat se behtar koi ataa nahi hai.

    (Sahih bukhari)

  • Naik logon ka zikar karne se gunah maaf hote hain.

    (Kanzul ummal,Hadith no:12685)

  • Sab se bada aalim wo hai jisne uspar amal kiya jis ka use ilm hogaya.

    (hazrath Sufiyan rahmatullah alaih)

  • Khushbakht hai wo shakhs jise jab koi nemat ataa hoti hai to wo us par shukar adaa karta hai,

    aur Jab use musibat puhanchti hai to wo sabar karta hai,

    aur jab us se koi gunah hojaye to furan touba karleta hai,

    aur jab use gussa aata hai to samajhdari se kaam leta hai.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *