- Jisne Rab ke aage jhukna sikh liya wahi ilm wala hai,Kyun ke ilm ki pehchan Aajizi hai aur jahel ki pehchan takabbur hai.
- Naik logon ka zikar karne se gunah maaf hote hain. Subhanallah!(Kanzul Ummal,Hadith no:12685)
- Hazrath Abdullah bin Abbas raziallahu taala anhuma farmate hai:NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Raat ki Tariki me aisa hi dekhte hain jaisa ke din ki Roushni me dekhte.(Al Khasaes Al Kubra,vol:1,pg:106)
- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Main, Ali, Fatima, Hasan, Husain aur hum se Mohabbat karne wale sab qayamat ke din ek hi jagah jama honge,Qayamat ke din hamara khana pina bhi ek hi jagah hoga,
yaha tak ke logou me faisle kardiye jainge.
(Al Moujamul Kabeer,Hadith no:2623)
Raziallahu ta’ala anhum ajmaeen
- Neik logon ke saath rehne wala nakaam wo namuraad nahi hota.(Hazrath Shahaab uddin seharwardi rahmatullahi alaih)
- Ambiya Ekram ka zikar karna Ibadat hai, aur Aouliya wo Salihen ka zikar karna gunahon ka kaffara hai.(Kanzul Ummal, hadith no:32247)
- Yaqinan ! ALLAH ke Dostou par na koi khouf hai aur na wo Ghamzada honge.(Surah Yunus:62)