- Namaz ki fikar ko apne upar laazim karlo ALLAH KI QASAM! Duniya ki fikar se aazaad hojaouge,aur kamiyabi tumhare saath hogi.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Farz Namaz ke baad Raat ki namaz tamaam namazou se afzal hai.
(Sahih Muslim)
Hadith :
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs isteta’at rakhne ke bawajood meri baargah me hazir na ho to usne
mujh par zyadati ki.
(Al Mawahibul Ladunniya,vol:12,pg:180) - Jo shakhs kalaam ullah shareef ki taraf dekhta hai aur Tilawat karta hai ALLAH TAALA use 2 Sawaab ataa farmata hai ,
ek Quraan e Kareem Padhne ka aur dusra dekhne ka,
Aur har harf ke badle 10 nekiyan ataa hoti hai aur 10 buraiyan mitadi jati hai.
(Hazrath Khaja Gareeb Nawaaz rahmatullah alaih)Related Links :
Salah
What is Namaz?
How to Pray Namaz