* NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Beshak Musalman namaz padhta hai aur uske gunah uske sar par rakhe hue rehte hain pas jis waqt wo sajda karta hai to uske gunah jhadh jate hain aur jab wo namaz se farigh hota hai to uski halat aisi hojati hai ke uske tamaam gunah us se jhadh chuke hote hain.
(Shubul Imaan,Hadith No:3144)
* Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu farmate hain:
Main NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki baargah me chand khajoren lekar hazir hua, aur arz kiya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! In par Barkat ki dua farmayen,
Pas Aap ne inhe jama kiya aur in par barkat ki dua farmayi.
(Jame Tirmizi,vol:2,pg:224)