Ek jagah farmaya gaya hai ke namaz mein shifa (cure/ilaaj) hai.
Aaj Medical Research Kehti Hai Ke Dil Pure Jisam Ko Khoon Supply Karta Hai Lekin Dimaag Dil Se Upar Hone Ki Wajah Se Khoon Puri Speed Se Dimaag Tak Nahi Puhnchta or Ye Kami Dimaag Ki kamzoori or Depression Ki Wajah Bannti He.
Insaan Din Mein Ek Martaba Bhi Aisi Position Mein Aaye Ke Uska Dimaag Uske Dil Se Niche Ho, Jis Tarah Muslmaan SAJDA Karte time Khoon Sahi Tarah Se Dimaag Tak Pohunch Jata He, Jis Ki Wajah Se Khoon Dimaag Ko Taro Taaza Rakhta He, Subhanallah.
Tum Apne Rab Ki Kon-Kon Si Nemato ko jhuthlaoge, Zara Sochiye Jo Banda Din Me 5 Dafa Allah Ke Samne Jhukta He Uska Dimaag Kitna Fresh or Tazaa Rehta Hoga.
Namaz Ke Faide
1. Fajar ki namaz : Fajar ki namaaz duniya ki saari cheezon se behtar hai. Agar aap subha ki pyaari neend se uth kar Fajar ki namaaz padhoge to goya aapne shaitaan se zihaad kiya…!!! Fajar ki namaaz duniya ki saari cheezon se behtar hai.
Fajar ki namazpadhne se Chehre ka noor badhta hai.
2. Zohar ki namaz: Zohar ki namaz padhne se Rozi (income) badha di jaati hai.
3. Asar ki namaz: Asar ki namaz padhne se Sehat acchi rahti hai.
4. Maghrib ki namaz: Maghrib ki namaz padhne se khud ke baccho ka future accha hota hai.
5. Isha ki namaz: Isha ki namaz padhne se Chain ki neend aati hai
Jis insan ne Isha ki namaz jamat se padhi
aur phir fajar ki namaz jamat se padhi tuo
usko raat bhar ibadat karne ke sawab milta hai,
chahe wo raat bhar sota raha ho.
Namaz Na Padhne Ka Gunah:
Be-namazi ko qabar mein kuch saza di jaati hai jinme se kuch ye hain
1) us ki kabar ko itna chhota kar diya jaaega ke usku pasliyaan ek
dusre par chadh jayengi.
2)us ki kabar mein aag bhadka di jayegi phir wo aag ke angaro me lotta rahega.
3) kabar mein us par ek saanp jiska naam ‘ash-shujaul-akraha’ hai
tenaat kar diya jayega. us saanp ki aakhein aag ki hongi aur nakhoon
lohe ke, jiski lambai ek mahine ke safar ke barabar hogi. jab bhi wo
be namazi ko marega to wo 70 haath tak zamin me dhas jayega aur
be-namazi par qayamat tak is tarah ka azab hota rahega.
ya ALLAH hume panchoo waqt ka nemazii bana .
Related link:
Kush’gawaar zindagi hasil karne ka doosra usool
Namaz